Vo Din
Vo din bhi kitne pyaare they
Chanda ka saath aur taaron ki chamak
Baadal ke sangh bhaagey phir te they hum
Peepal ka pedh aur vo dosth ka saat
Bhaagey gali gali ghoomey hum saat saat
Thakey rukhe baithey huye hum
gharke aangan mey rang laye hum
Baagon ki khilti huyi phoolon ki tarah
khilkhila te they hum
Seth ki dukhaan ke bheed they hum
good mangney chaley charaney mutti mey baand ke
Suraj hi thakey dhuljaye hum na thakey khelney sey
Vo din bhi kitne pyaare they
haath mey haath daley nikaley padaai karney hum
Guru ka sanman aur badon ka aadar seekheyhai hum
Vo din bhi kitney pyaare they
Jo bechaini se dur aur zhimmedari se dur they hum
Kabhi na janey dil ka dard kya hai
Bus neechey girney sey roothey they hum
Vo din bhi kitney pyaare they
Jismey sirf andherey se dar te they hum
Na kisi sey dhoka na kisi ka dard
Bus Khilona tooth nesey roothey they hum
Aur meley mey ghoomney ka zid kartey they hum
Vo din bhi kitne pyare they
Jab chotey they hum.
Comments
Post a Comment